• We need your support!

    We are currently struggling to cover the operational costs of Xtremepapers, as a result we might have to shut this website down. Please donate if we have helped you and help make a difference in other students' lives!
    Click here to Donate Now (View Announcement)

Urdu 9686: Post your doubts here

Messages
576
Reaction score
308
Points
73
Hi Everyone, post your problems regarding Urdu here and i will try to help as much as possible.
 
Messages
43
Reaction score
3
Points
8
Please help me with the ghazlein and nazmein and afsane questions. i dont know how to do them. If you could post some notes maybe? ill be grateful!
 
Messages
576
Reaction score
308
Points
73
which questions? post them here. sorry i have notes but no way of uploading them. no scanner.
u ask any past ppr question i would be able to help.
 
Messages
43
Reaction score
3
Points
8
um just please tell me how to study them in like a week? also, what could be expected to come
 
Messages
576
Reaction score
308
Points
73
read the tashree of all nazams, read the noval twice. and u need to make a analysis on the afsanaay. aap past pprs toh kholo. aur koi sawaal likho yahan. leave ghazlein caz nazamz r enuf. u need to attempt one out of these 2.
 
Messages
576
Reaction score
308
Points
73
Shatranj kay khilari by Munshi Prem Chand
Kardaar: Mirza Sajjad Ali aur Meer Roshan Ali
Kahani ka maqaam aur zamana: Lakhnao ka zawaal, wajid ali shah ka zamana

kahani ka moozo: Lakhnao mein wajid ali shah ki saltanat ka zawaal tan asaani , aesh parasti ka natijaa tha jis mein mubtla ho kar muashra ka har fard mulki behtri ki bijay zaati dilchaspiyun mein uljha hua tha aur mulqi azzadi ki fiqri kisi ko bhi naa thi.

kahani ka agaaz: mulqi halaat ki tabahi o barbadi aur doo kardaar mirza sajaad ali aur meer roshan ali har waqt shatranj khelnay mein mashgool rehtay that.

kahani kyun kar jaari rehti hay: 1856 mein angrezoon nay lakhnao kay aakhri taajdaar o ajad ali shah ko mazool kar kay mutiya burj kolkata mein nazar band kar diya tha aur lakhnao par qabza kar liya tha kyunke rayasat angrez company ka na karz wapis kar saki aur na hi salaana tax adaa kar saki kyunke tamaam daulat aeesh parasti mein sarf ho rahi thi aur kahani kay donu nawaab iis tamaam muamlay say la taluk shatranj khailnay mein mashgool hein.

kahani ka anjaam: rayasat angrezoon ki gulami mein chali gai. aur idhar yeh donu nawaab shatranj kay muhroon ki khatir larh larh kar mar gaay.

Shatranj kay khilari ka tajziya: munshi prem chand ka afsaana shatranj kay khilari aik achoota shahkaar hay. apnay makhsoos asloob mein unhoon nay yeh afsaana qalamband kiya hay aur lakhnu kay zawaal ki aesi akaasi ki hay kay saari tasweer aankhoo kay saamnay aa jati hay. iis kahani kay doo markzi kardaar mirza sajaad ali aur meer roshan ali hein.

1856 mein anrgrezo nay lakhnao kay akhri taajdaar wajid ali shah ko mazool kr kay mutiya buj kalkuta mein nazar band kar diya tha. muashray ka har fard apni zaati dilchaspiyu mein dooba hua tha lekin kisi kay dil ko mulqi salaamti ki rati bhar bi fikar bhi lahiq na thi. apne makhsoos andaaz mein prem chand nay apne donu kardaaro kay zariye ppore mushray ki akaasi ki hay.

donu kardaar khandar mein bethay shatranj ki baazi mein mashgool rehte apne ghar baar biwi bachoon ki unhein fikar na thi unhein bhala wajid ali shah ya lakhnao kay zawaal say kya lena dena. zaati toor par donu kardaar shuja o bahadar hein lekin jahan tak qoomi daleri ki baat hay woh in donu mein na hone kay barabar hay. in kay siasi jazbaat fana ho chuke thay badshah kay liye badshahat kay liye woh kyun marain? magar infraadi daleri mein koi kami nahi thi.

jahan tak in ki gharialo masrofiyaatt ka zikar jo afsaanay mein hua in kay baigumein khud chahti hein kay woh ghar say bahar rahain khuwa woh shatranj hi kyun na kahailain. kahani kau iss hisay mein musanif mardoo ki bay amli, bay hisi aur qadre bay gariti ki taraf ishaara karta hay kay aik ki biwi kisi aur jagah ishq ki paingain barha rahi hay toh dosri jagah mian ki biwi iss say ukta chuki hay. yahan par musanif gharailo zindgi mein aurto kay galbay ki taraf ishara krta hay :p

poore muashray mein bay hisi tan asaani ka dor doora hay. donu kardaar gairat, zati anaa, khandaan aur hasb o nasb kay baray mein itne hasaas hein kay zara c baat par donu aik dosre par talwaarain taan lete hein.

(dialoge from book:talwaarain chamkain, chupa chup ki awaaz aaeii aur donu zakham kha kr gir paray aur donu nay wahi taraf tarap kar janay day di. apen badshah kay liye jin ki aankho se aik boond aanso na giri, unhi donu aadmiyu nay shatranj kay wazeer ki hifazat kay liye jaan day di. andheera ho gya, )

continue tazyia: logo kay andar gairat toh maujood hay magr apni zaat ki had tak. un kay nayamoo mein talwaarein toh maujood hein mulqo milat ki baka kay liye nahi balke zati anaa ko kuchalnay walay fard kay liye.

wahdat tasur jo kay kahani ka bunyadi wasaf hota hay prem chand ka yeh afsaana wahdat tasur kay taqazay ko poora krta hay. afsaana shru se akhir tak qaari ko baandhay rakhta hay qaari iss kay tasur mein is qadr maho ho jata hay kay kahani is kay lashaouur ka daaimi hisa ban jati hay. kahani mein kisi kisam ka uljhaao ya bahaam maujood nahi hay. jahan tak mukalmay aur zubaan o bayaan k ataluq hay toh is silslay mein prem chand nay bharpoor tawaja dii hay kay kardaar ki munasbat say is kay mukalmay aur zubaan ho.

<--------------------------------------------->
 
Messages
43
Reaction score
3
Points
8
i dont think this afsana is in our syllabus but thankyou :) really helped me alot! and im going to do anarkali, nazmein and afsanay. :D
 
Messages
576
Reaction score
308
Points
73
oh my god..:mad: , wasted my time over it...the key book i have is an old one...

i m doing the same. i will write about toba tek singh and nazara darmayaan hay tajziya soon.
and then anarkali to follow :p
 
Messages
576
Reaction score
308
Points
73
from old book bank at link road, but i need some more as it lacks some nazams and afsaanay. need to visit mini market gulberg.

hey mahnoor tell me one thing, which set of nazamz r u doing ?
like there r total of about 22 nazams. 15 in the first nd then rest under the following heading in the syllabus:-

muntakhbi nazmein by dr ibu kanwal : now this has separate nazams about 12

if we r opting for nazam section then do we need to do these all nazams?
 
Messages
52
Reaction score
7
Points
8
Anarkali:
Purai dramay mai Akbar ka Asal maqsad Saleem ka mustakbil sawarna tha.
Yai bayan kis hadd tak durust hai??

Please help me with this question
 
Messages
576
Reaction score
308
Points
73
akbar aik azeem saltanat ka badshah tha. uska khawaab tha kay mughal saltanat door door tak phailay aur mughal hakomat mazeed mustaham ho. saleem kay liye buhat se khawaab dekhay thay.

jab saleem shatranj mein achi chaal khelta hay toh akbar pur musarat mehsoos karta hay kay uske bete mein hikmat e amli aur maat dainay ki salahiyat maujood hay.

woh saleem ko baar baar yeh bawar karwata hay kay usay agay ja kay poori saltanat sanbhalni hay aur mughal door ki shan o shaukat aur asro suroot qaaim rakhna hay.

saleem akbar kay khayalaat kay bar aqs aese khaylaat se kosoon door hay.
wali uhad honay ki sanjidgi aur apni zimaydari say la taluki aur gair dilchaspi zahir karta hay. woh toh ishq mein mubtla hay aur yehi uske zinda honay ka suboot hay. usay aur kisi cheez me dilchaspi nahi. aur yeh rawiya akbar ko buhat khatakta hay aur usay ranjeeda kr deta hay.

akbar ki dili khuwaish thi kay uska beta mulq ki bhaag door sanbhalay aur hakoomti muamlaat ko samjhay.

jab saleem aur anarkali kay ishq ka raaz faash ho jata hay toh akbar ka aag bagola hona aur anarkali ko dewaar mein chunwa dena is baat ki daleel deta hay akbar apne bete ka jo roshan mustaqbil dekh raha tha woh uske rastay mein anay wali kisi rukawat ko bardaasht nahi kr skta tha. akbar kay nazdeek jo rahay raast aur zarori baat thi usi par amal paira hotay huay anarkali ko zulmo jabar se guzarna para.

in sab bato say yeh natija nikalna galat na hoga kay poray dramay mein akbar ki saleem ko sanwarnay ki kaawish nazar ati hay..

hope its good enuf. if u find something missing or any mistake do let me know. thanku
 
Bohot Aala ! Thankyou yaar.
And if you have Any guess paper of Urdu, Accounts, business or economics. If yes plz share !
Thanks in advance.
Also, plz tell me that I am preparing Anarkali, Umrao Jan and Nazm for p4. Is it a good choice. I have done only 1 Nazm. Plz guide me how to study Nazm and do you have any lectues or notes for it.
Thankx again =)
 
* do u have i mean...
 
Messages
52
Reaction score
7
Points
8
Hi Everyone, post your problems regarding Urdu here and i will try to help as much as possible.
Umrao Jaan related qstn: Faiz Ali ka kirdar mardana kirdaroun mai sab sai zyada jaandar hai. Aap es bayan sai kis hadd tak itifaq kartey hain??
 
Messages
12
Reaction score
5
Points
13
can we do two novels? and leave out afsane? i will do amroah jan and anarkali and nazams.
and please kisi ke pass nazms aur ghazal per notes hain to aur karachi ke ho to i can photocopy it.
 
Top