• We need your support!

    We are currently struggling to cover the operational costs of Xtremepapers, as a result we might have to shut this website down. Please donate if we have helped you and help make a difference in other students' lives!
    Click here to Donate Now (View Announcement)

*~*~♦ тнᴇ αят ᴏƒ ɢяᴏᴏмɪɴɢ уᴏυя ѕᴏυʟѕ ♦~*~*

Messages
1,412
Reaction score
6,320
Points
523
Aadmi Nama

duniya mein badshah hai so hai woh bhi aadmi
aur muflis o gada hai so hai woh bhi aadmi
zar dar be nawa hai so hai woh bhi aadmi
ne'amat jo kha raha hai so hai woh bhi aadmi
tukde jo mangta hai so hai woh bhi aadmi

masjid bhi aadmi ne banai hai yan miyan
bante hain aadmi hi imaam aur khutba khwan
padhte hain aadmi hi namaaz aur quran yan
aur aadmi hi un ki churaate hain jootiyan
unko jo tadhta hai so hai woh bhi aadmi

yan aadmi pe jaan ko ware hai aadmi
aur aadmi hi tegh se maare hai aadmi
pagrhi bhi aadmi ki utaare hai aadmi
chilla ke aadmi ko pukare hai aadmi
aur sun ke dauRhta hai so hai woh bhi aadmi

yan aadmi hi naar hai aur aadmi hi noor
yan aadmi hi paas hai aur aadmi hi door
kul aadmi ka husn o qaba mien hai yaan zahoor
shaitaan bhi aadmi hai jo karta hai makr o zor
aur haadi, rehnuma hai so hai woh bhi aadmi

abdaal o qutb o ghaus o wali aadmi hui
munkar bhi aadmi hue aur kufr se bhare
kya kya karishme kashf o karamat ke kiye
had ta ke apne zor o riyazat ke zor pe
khaliq se ja mila hai so hai woh bhi aadmi

fir'aun ne kiya tha jo daawa khudai ka
shaddad bhi bahisht bana kar hua khuda
namrud bhi khuda hi kahaata tha bar mala
yeh baat hai samajhne ki aage kahoon main kya
yan tak jo ho chuka hai so hai woh bhi aadmi

Ashraaf aur kameene se shaah to vajiir
Ye aadmi hii karte hai kaare dipajiir
Ye aadmi murid hai aur aadmi hii peer
Achha bhi aadmi hai aye nazeer
Aur sabme jo buraa hai so vo bhi aadmi

shazmina 1357911 Ahmedraza73 fantastic girl nasir123 amna saleem
i read this in olvls .
 
Messages
1,412
Reaction score
6,320
Points
523
Banjara Nama

Tuk hirs-o-hawas ko chhod mian, mat des bides phire mara,
Qazzaaq ajal ka loote hai din raat, baja kar naqqara;

Kya badhiya, bhainsa, bel, shutar, kya goien, palla, sarbhara,
Kya gehun, chawal, moth, matar, kya aag, dhuvaan, kya angara,

Sab thath para reh jayega, jab laad chale ga Banjara.

Gar tu hai lakhhi banjara, aur khaip bhi teri bhari hai,
Ae ghafil, tujh se bhi chadhta ik aur bara beopari hai,

Kya shakkar, misri, qand, giri, kya sambhar, meetha, khari hai,
Kya daakh, munaqqa, saunth, mirch, kya kesar, laung, supari hai

Sab thath para rah jayega jab laad chale ga Banjara.

Ye badhiya laade, bail bhare, jo purab pachhim jawe ga,
Ya sood barha kar lawega, ya tota, ghata, pawe ga,

Qazzaq ajal ka raste mein jab bhala mar girawe ga,
Dhan, daulat, naati, pota kya, ik kunba kaam na aawe ga,

Har manzil mein ab sath tere ye jaana, dera,daanda hai
Zarr, daam, diram ka bhaanda hai, bandooq, sipar aur khaanda hai

Jab nayak tan ka nikal gya,jo mulkon mulkon baanda hai
Phir haanda hai na bhaanda hai, na halwa hai na maanda hai

Jab chalte chalte raste main ye joon teri dhal jave gi,
Ik badhya teri matti par phir ghaas na charne ave gi,

Ye khep jo tune laadi hai, sab hisson main batt jave gi
Dhan, pot , jamai ,beta kya, banjaran pas na ave gi

Ye khep bhare jo jata hai,ye khep mein miyan mat gin apni
Ab koi ghr,pal,saa'at main ye khep badan ki khapni hai

Kya thaal,katore chandi ke,kya peetal ki dabbiya dhapni,
Kya bartan sone,rupe ke,kya matti ki handiya dhapni,

Kuch kaam na ave ga tere, ye laal,zamurrud,seem-o-zarr,
Jab poonji baat main bikhre gi,phir aan bane gi jaan ooper,

Naqqaare nobat baan nishan,dolat hishmat fojen lashkar,
Kya masnad takiya,milk,makaan,kya choki,kursi,takht,chakkar,

Sab thaath para reh jaye ga jab laad chale ga Banjara.

Kyun jee par bojh uthata hai,in konon bhaari bhaari ke
Jab mout ka dera aan pare phir doone hain Biyopaari ke

Kya saaz,jurao,zarr,zewar, kya doone hain Biyopaari ke
Kya ghore zeen sunehri ke,kya hathi laal umari ke

Magroor na ho talwaron par,mat phool bharose dhaalon ke
Sab patta tor ke bhaagen ge,mooh dekh ajal ke bhaalon ke

Kya dibbe moti,heeron ke kya dher khazane maalon ke
Kya bukche taash mushjar ke,kya takhte shaal do shaalon ke

Kya sakht makaan banwata hai,kham tere badan ka hai pola
Tu unche koot uthata hai,waan dekh goor garhe ne mooh khola

Kya reti,khandaq,rand bare,kya burj,kangola anmola
Garh,koot,rihakka,tope,qila,kya sheesha daaru aur gola

Har aan nafa aur tote mai kyun marta phirta hai bann bann
Tuk ghafil dil mai soch zara, hai sath laga tere dushman

Kya londi,baandi,daai,dawa,kya banda,chela.naik chalan
Kya mandir,MASJID,taal,kunwen,kya ghaat sira,kya baagh,chaman

Jab marg phira kar chahak ko ye bail badan ka haanke ga
Koi naaj samete ga tera,koi goon siye ga aur taanke ga

Ho dher akela jungle mai tu khaak lehad ki phaanke ga
Is jungle mai phir aah Nazeer~ ik bhanga aan na jhaanke ga

Sab thaath para reh jaye ga jab laad chale ga Banjara
and others.
fr those who dont understand the meaning of banjara. it means nomad. in urdu this word (banjara) is used to refer to IZRAEL(AS) , the angel of death. here it carries this meaning
 
957
Reaction score
6,644
Points
503
Ramadan

R ead in abudndance the Holy Quran
A bstain from food, drink and cohabitation
M aintain your nightly trips to Masjid for Taraweeh
A bsolve yourself from Hellfire through seeking forgiveness
D eeds of good, never too many to have
A ttempt to find and utilise the Night of Power in the odd nights of the last 10
N ever return to the sins you have turned your back on in this month
 
Messages
957
Reaction score
6,644
Points
503
images
 
Messages
4,062
Reaction score
25,658
Points
523
Aadmi Nama

duniya mein badshah hai so hai woh bhi aadmi
aur muflis o gada hai so hai woh bhi aadmi
zar dar be nawa hai so hai woh bhi aadmi
ne'amat jo kha raha hai so hai woh bhi aadmi
tukde jo mangta hai so hai woh bhi aadmi

masjid bhi aadmi ne banai hai yan miyan
bante hain aadmi hi imaam aur khutba khwan
padhte hain aadmi hi namaaz aur quran yan
aur aadmi hi un ki churaate hain jootiyan
unko jo tadhta hai so hai woh bhi aadmi

yan aadmi pe jaan ko ware hai aadmi
aur aadmi hi tegh se maare hai aadmi
pagrhi bhi aadmi ki utaare hai aadmi
chilla ke aadmi ko pukare hai aadmi
aur sun ke dauRhta hai so hai woh bhi aadmi

yan aadmi hi naar hai aur aadmi hi noor
yan aadmi hi paas hai aur aadmi hi door
kul aadmi ka husn o qaba mien hai yaan zahoor
shaitaan bhi aadmi hai jo karta hai makr o zor
aur haadi, rehnuma hai so hai woh bhi aadmi

abdaal o qutb o ghaus o wali aadmi hui
munkar bhi aadmi hue aur kufr se bhare
kya kya karishme kashf o karamat ke kiye
had ta ke apne zor o riyazat ke zor pe
khaliq se ja mila hai so hai woh bhi aadmi

fir'aun ne kiya tha jo daawa khudai ka
shaddad bhi bahisht bana kar hua khuda
namrud bhi khuda hi kahaata tha bar mala
yeh baat hai samajhne ki aage kahoon main kya
yan tak jo ho chuka hai so hai woh bhi aadmi

Ashraaf aur kameene se shaah to vajiir
Ye aadmi hii karte hai kaare dipajiir
Ye aadmi murid hai aur aadmi hii peer
Achha bhi aadmi hai aye nazeer
Aur sabme jo buraa hai so vo bhi aadmi

shazmina 1357911 Ahmedraza73 fantastic girl nasir123 amna saleem
i read this in olvls .
JaZakAllah 4 the tag bro.....do ya hve the translation in eng?
 
Messages
2,332
Reaction score
9,506
Points
523
Banjara Nama
Tuk hirs-o-hawas ko chhod mian, mat des bides phire mara,
Qazzaaq ajal ka loote hai din raat, baja kar naqqara;
Kya badhiya, bhainsa, bel, shutar, kya goien, palla, sarbhara,
Kya gehun, chawal, moth, matar, kya aag, dhuvaan, kya angara,
Sab thath para reh jayega, jab laad chale ga Banjara.
Gar tu hai lakhhi banjara, aur khaip bhi teri bhari hai,
Ae ghafil, tujh se bhi chadhta ik aur bara beopari hai,
Kya shakkar, misri, qand, giri, kya sambhar, meetha, khari hai,
Kya daakh, munaqqa, saunth, mirch, kya kesar, laung, supari hai
Sab thath para rah jayega jab laad chale ga Banjara.
Ye badhiya laade, bail bhare, jo purab pachhim jawe ga,
Ya sood barha kar lawega, ya tota, ghata, pawe ga,
Qazzaq ajal ka raste mein jab bhala mar girawe ga,
Dhan, daulat, naati, pota kya, ik kunba kaam na aawe ga,
Sab thath para rah jayega jab laad chale ga Banjara.
Har manzil mein ab sath tere ye jaana, dera,daanda hai
Zarr, daam, diram ka bhaanda hai, bandooq, sipar aur khaanda hai
Jab nayak tan ka nikal gya,jo mulkon mulkon baanda hai
Phir haanda hai na bhaanda hai, na halwa hai na maanda hai
Sab thath para rah jayega jab laad chale ga Banjara.
Jab chalte chalte raste main ye joon teri dhal jave gi,
Ik badhya teri matti par phir ghaas na charne ave gi,
Ye khep jo tune laadi hai, sab hisson main batt jave gi
Dhan, pot , jamai ,beta kya, banjaran pas na ave gi
Sab thath para rah jayega jab laad chale ga Banjara.
Ye khep bhare jo jata hai,ye khep mein miyan mat gin apni
Ab koi ghr,pal,saa'at main ye khep badan ki khapni hai
Kya thaal,katore chandi ke,kya peetal ki dabbiya dhapni,
Kya bartan sone,rupe ke,kya matti ki handiya dhapni,
Sab thath para rah jayega jab laad chale ga Banjara.
Kuch kaam na ave ga tere, ye laal,zamurrud,seem-o-zarr,
Jab poonji baat main bikhre gi,phir aan bane gi jaan ooper,
Naqqaare nobat baan nishan,dolat hishmat fojen lashkar,
Kya masnad takiya,milk,makaan,kya choki,kursi,takht,chakkar,
Sab thaath para reh jaye ga jab laad chale ga Banjara.
Kyun jee par bojh uthata hai,in konon bhaari bhaari ke
Jab mout ka dera aan pare phir doone hain Biyopaari ke
Kya saaz,jurao,zarr,zewar, kya doone hain Biyopaari ke
Kya ghore zeen sunehri ke,kya hathi laal umari ke
Sab thaath para reh jaye ga jab laad chale ga Banjara.
Magroor na ho talwaron par,mat phool bharose dhaalon ke
Sab patta tor ke bhaagen ge,mooh dekh ajal ke bhaalon ke
Kya dibbe moti,heeron ke kya dher khazane maalon ke
Kya bukche taash mushjar ke,kya takhte shaal do shaalon ke
Sab thaath para reh jaye ga jab laad chale ga Banjara.
jazakallah....... was trying to find it on net.... but couldnt........ thnk u,......
 
Messages
2,332
Reaction score
9,506
Points
523
Theres one more (FOR THOSE WHO CAN UNDERSTAND URDU)..... I dont know the name of the writer..... but its amzing...... something for us to learn......fromit.....

Ajal hi nai chora na kisra na dara,.....
Isi sai sikandar sa safatai behara,,,,,,,,
har ek lai kai kia kia na hasrat sai dara.........
para reh gya sab uhein khak sara.......
jaga gi laganai ki dunya nahi hai.......
ye ibrat ki ja hai...... tamasha nahi hai......
milai khak mein ahle shaan kaisai kaisai......
hoai namwar benishan kaisai kaisai......
zameen kha gaye asmaan kaisai kaisai......
jaga gi laganai ki dunya nahi hai.......
ye ibrat ki ja hai...... tamasha nahi hai......
yehi tuj ko dhun hai rahu sab se aala......
wo zeenat nerali...... wo faishon nerala,,,,.....
jia krta hai kia yuhein marnai wala.......
tuje husn e zahir nai dhoke main dala......
jaga gi laganai ki dunya nahi hai.......
ye ibrat ki ja hai...... tamasha nahi hai......
tuje ahlai bachpan nai barson khilaya......
jwaani nai phir tuj ko majnoon banaya......
burhapai nai phir aa ke kia kia sataya......
ajal tera kr dai gi bilkul safaya.......
jaga gi laganai ki dunya nahi hai.......
ye ibrat ki ja hai...... tamasha nahi hai......
 
Messages
1,442
Reaction score
7,812
Points
523
Aadmi Nama

duniya mein badshah hai so hai woh bhi aadmi
aur muflis o gada hai so hai woh bhi aadmi
zar dar be nawa hai so hai woh bhi aadmi
ne'amat jo kha raha hai so hai woh bhi aadmi
tukde jo mangta hai so hai woh bhi aadmi

masjid bhi aadmi ne banai hai yan miyan
bante hain aadmi hi imaam aur khutba khwan
padhte hain aadmi hi namaaz aur quran yan
aur aadmi hi un ki churaate hain jootiyan
unko jo tadhta hai so hai woh bhi aadmi

yan aadmi pe jaan ko ware hai aadmi
aur aadmi hi tegh se maare hai aadmi
pagrhi bhi aadmi ki utaare hai aadmi
chilla ke aadmi ko pukare hai aadmi
aur sun ke dauRhta hai so hai woh bhi aadmi

yan aadmi hi naar hai aur aadmi hi noor
yan aadmi hi paas hai aur aadmi hi door
kul aadmi ka husn o qaba mien hai yaan zahoor
shaitaan bhi aadmi hai jo karta hai makr o zor
aur haadi, rehnuma hai so hai woh bhi aadmi

abdaal o qutb o ghaus o wali aadmi hui
munkar bhi aadmi hue aur kufr se bhare
kya kya karishme kashf o karamat ke kiye
had ta ke apne zor o riyazat ke zor pe
khaliq se ja mila hai so hai woh bhi aadmi

fir'aun ne kiya tha jo daawa khudai ka
shaddad bhi bahisht bana kar hua khuda
namrud bhi khuda hi kahaata tha bar mala
yeh baat hai samajhne ki aage kahoon main kya
yan tak jo ho chuka hai so hai woh bhi aadmi

Ashraaf aur kameene se shaah to vajiir
Ye aadmi hii karte hai kaare dipajiir
Ye aadmi murid hai aur aadmi hii peer
Achha bhi aadmi hai aye nazeer
Aur sabme jo buraa hai so vo bhi aadmi

shazmina 1357911 Ahmedraza73 fantastic girl nasir123 amna saleem
i read this in olvls .

thnx for the tag bro
but can u tell the suorce from where u hvae taken it out
Iz this Authentic????
 
Top