• We need your support!

    We are currently struggling to cover the operational costs of Xtremepapers, as a result we might have to shut this website down. Please donate if we have helped you and help make a difference in other students' lives!
    Click here to Donate Now (View Announcement)

9686 Urdu pakistan only. Paper 3

Messages
43
Reaction score
3
Points
8
Can anyone please post some sample essays on education and media in urdu. Or any links or good words for vocabulary? thanks
 
Messages
72
Reaction score
2
Points
16
MEDIA;
media tashaddud ko fargoh de ra ha. Elaborate
Television ghair mulki culture ko farogh de ra ha.
Media k tehat Sahaafat ka azaad hona zaroori ha.
Media pr dikhaye janay walay ishtahaarat (ads) asal program ka maza kharab kr detay ha.
EDUCATION;
Taaleem Insan ko Sust (lazy) bana deti ha.
Taaleem-e-Nasvaa mulki taraqqi k liye zaroori ha.
 
Messages
576
Reaction score
308
Points
73
hi kaminay 1, writing a esaay on media:-

media tashaddud ko fargoh de ra ha.

media 21 sadi mein buhat tariqi kar chuka hay. media ka hamari zindgi mein buhat amal dakhal ho chuka hay. media me television, internet, radio akhbaar aur bi beshtar zaraye shamil hein.
media teen qismo ka hay:-
1) aik jisko ka kaam humain taza tareen khabro se wakif krwana hay aur mulqi gair mulqi halaat kay oopar jaiza, behas aur tabsray krna hay.
2) dosri taraf tafreeh hay jismein kay film, moseeqi, drama wagera shamil hein.
3) sbse aham media woh hay jo logo ko taleem, hunar, muffed malomaat, sakaafat, tehzeeb aur deegar maloomaat faraham krnay mein koshaan hay.

hamare mulq pakistan mein agar aap 10 saal peche jain toh media ka itna charcha nahi tha. channel na honay kay barabar thay. lekin phir niji companiyu nay beeshtar channel kholay aur media ka asro suroot barh gya.
hum is baat se bakhoobi wakif hein kay hamare mulq mein la qunooniyat apne poray zuroo shoor se jari hay. pakistan kay aeein mein likha hay kay media ka kaam sachi, khari aur begair kisi jama ya tafreekh kay tehat baat aagay puhanchana hay.

awaam kay andar yak tarfa raay bananay jo kay kisi khaas tabkay, fareek ko faida puhancha rahi ho toh yeh aeein ki khilaaf warzi hay. bad qismiti se beshtar media channels kisi khaas garooh ya jamaat kay kalay kartooton aur mulqi mufaad kay bar aqs kiye gaay jurm kay oopar parda dalti hay. tajziya nigaar siyasi jaamatoo ya kisi khaas garooh kay haatho bik jatay hein aur awaaz kay samnay lafzo kay khail se unhein gumrah krte hein.

yeh bi dekhne me aya hay kay jab koi khud kush hamla ya nagahani aafat paish aati hay toh anchor persons buhat jazbaati aur jana pooch kay sansni philate hein. sada alfaaz mein jisay mirch masala dalna kehte hein. laal rang aur tez taraar music bajay jatay hein aur logo kay andar khoof kay saay mandalane lagte hein. is ki waja se logo kay andar kash ma kash paida hoti hay aur woh zehni amraaz ka shikaar hote hein. media ko yeh gair zimay darana rawiye se ijtanab karna hoga. aur awaam ko sukoon sabar aur tahamul kay saath waqayata se agaah krna hoga.

buhat martba dekhne me aya hay kay khatrnaak mujarmo aur deshat gardo ki intahai nazuk malomaat media par saray aam dikha di jati hein jo kay in bemaar zehan logo ko madad puhanchati hay aur in mujarmo ko faida puhanchati hay.

hamara media maloomaat toh buhat farham krta hay lekin shaouur aur taleem ka ansar kam dikhai deta hay. gair zarori aur oonchay tabqe ko khush krne peh zayda tawaju hay. jabke aam aadmi kay masail jese, roti, kapra, makaan, sehat, taleem aur mahoolati masaial jese aham moouzaat par zayda roshni nahi dali jati.

agar internet ki duniya mein qadam rakhain toh naujawaan nasal fakhaas websites aur games mein apna buhat sara waqt zaya kr rahay hein. yeh jantay huay kay internet maloomaat ka samandar hay. aur aap jo chaho internet se seekh skte hein ho lekin naujawaan nasal ilm ki roshni hasil krne mein baaki mulqo ki naujawaan nasal se kaafi peche hein.

media ko apna gair zimay darana rawiya khatam krna hoga aur khabro ko behtar tariqe se paish krna hoga takay loog pur tashadud waqyaat se ijtnaab karain. logo ko rahay raast par lana aur aik seham mand muashra qaim krne mein media ka sbse aham kardaar hay...
...................
 
Messages
576
Reaction score
308
Points
73
media1.jpg good intro and use of urdu words but i disagree with the content. it covers some aspects of media. hope it helps.
 
Messages
576
Reaction score
308
Points
73
سے مشرف دور کے بعد پاکستانی میڈیا نے خوب ترقی کی، حکومت نے مثبت پالیسی پر عمل پیرا ہو کر بہت سے نئے ٹیلی ویژن چینلز اور ریڈیو چینلز کے لائسنس جاری کیے۔ اس کے بعد پاکستانی میڈیا میں‌جدت آئی اور پرائیوٹ چینلز کی طرف سے ٹاک شوز کا سلسلہ شروع ہوا۔ یہ سلسلہ وقت کے ساتھ ساتھ لوگوں میں‌مقبولیت حاصل کرتا رہا۔ جس سے نہ صرف پرائیویٹ ٹی وی چینل کے ناظرین کی تعداد بڑھی بلکہ عوام کو بھی سچی خبروں اور تجزیوں کا علم ہوتا رہا۔ جب کہ اس عرصہ سے قبل جب سرکاری ٹی وی چینل ہی تمام خبروں کا ذریعہ تھا ، تمام حکومتیں اپنی مرضی کی مثبت خبریں عوام تک پہنچنے دیتی تھیں۔ اور عوام رات 9 بجے کی خبریں سن کر سمجھتے تھے سب اچھا ہے۔ اس وقت بھی ملک کا حال کچھ ایسا ہی تھا، کرپشن ، چوری چکاری، ڈاکے، سیاستدانوں کی ناجائز لوٹ مار سب چلتا تھا۔
 
Messages
576
Reaction score
308
Points
73
e
education pay b help kardo, please?
xtremely sorry on xtreme papers :) yar mene sirf media prepare kiya hay. agar time hota me zaror help karta. buhat tyari rehti hay abi and u know exams on head. aap google pe search maaro you will get numerous essays and helping material. wikipedia urdu kholo uspeh type karo taleem. good luck
 
Top