• We need your support!

    We are currently struggling to cover the operational costs of Xtremepapers, as a result we might have to shut this website down. Please donate if we have helped you and help make a difference in other students' lives!
    Click here to Donate Now (View Announcement)

Poetry! =P

Messages
971
Reaction score
2,693
Points
253
Usi Ko Apne Dil Mein Basaya Aur Basaya Kuch Bhi Nahi,
Jidhar Dekha Udar Woh Nazar Aya Aur Nazar Aya Kuch Bhi Nahi,
Duniyaan Walon Ne Bewaja Badnaam Kardiya Mujhe,
Maine Bas Uska Dil Churaya Aur Churaya Kuch Bhi Nahi,
Bas Aik Usi Ko Nahi Khona Chahtay Thay Hum Laikin,
Humne Bas Usi Ko Ganwaya Aur Ganwaya Kuch Bhi Nahi,
Woh Jisko Yaad Kiye Baghair Sotay Nahi Thay Hum,
Usne Bas Humein Hi Bhulaya Aur Bhulaya Kuch Bhi Nahi
 
Messages
971
Reaction score
2,693
Points
253
Neendain meri aankhon se churaata hey wohi shakhs--
so jaaon tau khaabon main bhi aataa hey wohi shakhs--
jis zakhm ka khaliq bhi koi aur naheen hey --
us zakhm pa marham bhi lagata hey wohi shakhs--
haathon ki lakeeron main bhi talashey wo mujhko--
hathon ki lakeerain bhi mitaata hey wohi shakhs--
rakhta hey mujhey qaid bhi ek band galli main--
rastey bhi niay mujhko sujhata hey wohi shakhs--
har lamha yeh koshish main ussey bhool hi jaaon--
pehlay se siwa yaad bhi aataa hey wohi shakhs--
ham jin se tallab roshinian kartey rahey hain--
aata hey tau shmain bhi bujhata hey wohi shakhs--
jo aaiena main apnay liay dhoond ka laaya--
us main bhi hamesha nazzar aata hey wohi shakhs--
us shakhs ki khaatir hoon main dunia se judaa bhi--
laiken maira dunia se bhi naataa hey wohi shakhs--
jis shakhs kay honay se thi es shehar ki rozaq--
suntay hain kay es shehar se jaataa hey wohi shakhs--
 
Messages
971
Reaction score
2,693
Points
253
jahan jahan bersaat uterti daikhi hai
Her sou teri yaad bikherti daikhi hai
Tum se pehlay dil sa buzdil koi na tha
Aur phir iss dil se dunya derti dekhi hai
Dil ke gehray sannatay main raaton ko
Kabhi kabhi ik hook ubherti dekhi hai
Buss ik jeenay ki khwahish thi aur wo bhi
Hum ne apni aankhon merti dekhi hai
 
Messages
971
Reaction score
2,693
Points
253
main aur meri bekhudi ab teray naam hay,
meri tamaam zindagi ab teray naam hay.
socha tha zindagi ka safar tanha karain gay,
iss zindagi ki har khushi ab teray naam hay.
logon ki baat dil pe na lena kabhi sanam,
meri toe sans akhri ab teray naam hay.
jalnay do inko jalnay ki aadat hay purani,
main aur meri dosti ab teray naam hay.
hum say wafa karo na karo jan-e-tamanna,
apni toe sari zindagi ab teray naam hay.
ehsas zindagi ka mujhay denay walay sunn,
lamha meri ghari meri ab teray naam hay.
na faasla koi hay na deewar-e-dushamanaan,
yeh ishq aur yeh ashqee ab teray naam hay.
yeh aarzoo choti si Mussawir ke dil main hay,
woh bhi kahay yeh aashiqi ab teray naam hay.
 

Cat

Messages
556
Reaction score
1,058
Points
153
For you Salman :)

Mere Aansuon Ko Wo Apni Khushi Samjhte Hai,
Kuch Is Kadar Wo Hamse Mohabbat Karte Hai,
Mere Dil Ko Jakhm De Kar Hanste Hai Aur Aanhe Bharte Hai,
Jaane Wo Hamse Kaisi Mohabbat Karte Hai?
Pal Bhar Gar Tanha Chhod De Hum Unhe,
To Bewafa Keh Kar Humse Ruswa Rehte Hai,
Meri Khushiyo Ke Liye Dua To Nayi Karte,
Par Meri Mayyat Ka Intijar Shaukh Ke Saath Karte Hai,
Na Jane Wo Humse Kitni Mohabbat Karte Hai?
Fir Bhi Aye Khuda Hum Tumse Yahi Fariyad Karte Hai,
Khush Rakhna Meri Mohabbat Ko Kyun Ki,
Unhe Hum Dil Ki Gahraaiyo Se Pyar Karte Hai.



(I didnt write this)
 
Messages
971
Reaction score
2,693
Points
253
For you Salman :)

Mere Aansuon Ko Wo Apni Khushi Samjhte Hai,
Kuch Is Kadar Wo Hamse Mohabbat Karte Hai,
Mere Dil Ko Jakhm De Kar Hanste Hai Aur Aanhe Bharte Hai,
Jaane Wo Hamse Kaisi Mohabbat Karte Hai?
Pal Bhar Gar Tanha Chhod De Hum Unhe,
To Bewafa Keh Kar Humse Ruswa Rehte Hai,
Meri Khushiyo Ke Liye Dua To Nayi Karte,
Par Meri Mayyat Ka Intijar Shaukh Ke Saath Karte Hai,
Na Jane Wo Humse Kitni Mohabbat Karte Hai?
Fir Bhi Aye Khuda Hum Tumse Yahi Fariyad Karte Hai,
Khush Rakhna Meri Mohabbat Ko Kyun Ki,
Unhe Hum Dil Ki Gahraaiyo Se Pyar Karte Hai.



(I didnt write this)
<3 <3 <3
 

Cat

Messages
556
Reaction score
1,058
Points
153
Apne Labon Ko Dushmn-E-Izhar Mat Bana,
Sache Hain Jo, Unhein Gunahgar Mat Bana,
Jitne Bhi Lafaz Hain Wo Mehkte Gulab Hain,
Lehje Ke Farq Se Unhein Talwaar Mat Bana,
Ilzaam Kuch Tu Gardish-E-Aiyaam Ko Bhi De,
Apne Har Ek Ghum Ko Ghum-E-Yaar Mat Bana,
Har Ek Ke Liye Khula Mat Rakh Isse “Faraz”,
Yeh Dil Ek Ghar Hai, Ise Bazaar Mat Bana.
 
Messages
8,392
Reaction score
9,462
Points
573
For you Salman :)

Mere Aansuon Ko Wo Apni Khushi Samjhte Hai,
Kuch Is Kadar Wo Hamse Mohabbat Karte Hai,
Mere Dil Ko Jakhm De Kar Hanste Hai Aur Aanhe Bharte Hai,
Jaane Wo Hamse Kaisi Mohabbat Karte Hai?
Pal Bhar Gar Tanha Chhod De Hum Unhe,
To Bewafa Keh Kar Humse Ruswa Rehte Hai,
Meri Khushiyo Ke Liye Dua To Nayi Karte,
Par Meri Mayyat Ka Intijar Shaukh Ke Saath Karte Hai,
Na Jane Wo Humse Kitni Mohabbat Karte Hai?
Fir Bhi Aye Khuda Hum Tumse Yahi Fariyad Karte Hai,
Khush Rakhna Meri Mohabbat Ko Kyun Ki,
Unhe Hum Dil Ki Gahraaiyo Se Pyar Karte Hai.



(I didnt write this)
Awwwwwwww :') Thank you so much! It's Awesome, Amazing but I m not that bad right? :p
 

Cat

Messages
556
Reaction score
1,058
Points
153
Awwwwwwww :') Thank you so much! It's Awesome, Amazing but I m not that bad right? :p

hahaha :p

Ok this is the one I wrote for you at four in the morning. Dont ask me why, bas lafz behrahe they ;) :D

Raaton me sitaron jaisi,
Aankhein teri,
Humesha jhilmilaati rahein.
Neem pe shehed jaisi,
Baatein teri,
Aise hi lagti rahe.
Zakhmon par merham jaisi,
Yaadein teri,
Yunhi aati rahe.
Korey kagaz pe kalam jaisi,
Adaaein teri,
Aise hi banti rahe.
Toofaanon mein saharey jaisi,
Dhadkan teri,
Yuhin milti rahe.
Andheron me kirnon jaisi,
Hansi teri,
Sada roshan rahe.
Patthar dil ko pighaalne jaisi,
Mohabbat teri,
Humesha kayam rahe.
Mil jaye tujhe mehbooba teri,
Bas rab se,
Itni si dua hai meri!
 
Messages
8,392
Reaction score
9,462
Points
573
hahaha never mind wasn't for u:p

Ok this is the one I wrote for you at four in the morning. Dont ask me why, bas lafz behrahe they ;) :D

Raaton me sitaron jaisi,
Aankhein teri,
Humesha jhilmilaati rahein.
Neem pe shehed jaisi,
Baatein teri,
Aise hi lagti rahe.
Zakhmon par merham jaisi,
Yaadein teri,
Yunhi aati rahe.
Korey kagaz pe kalam jaisi,
Adaaein teri,
Aise hi banti rahe.
Toofaanon mein saharey jaisi,
Dhadkan teri,
Yuhin milti rahe.
Andheron me kirnon jaisi,
Hansi teri,
Sada roshan rahe.
Patthar dil ko pighaalne jaisi,
Mohabbat teri,
Humesha kayam rahe.
Mil jaye tujhe mehbooba teri,
Bas rab se,
Itni si dua hai meri!
AWESOME AWESOME AWESOME! Thank you so much! Means alot to me :') I have saved it!
 
Messages
1,958
Reaction score
1,020
Points
173
AAbhi Fasan_e_Ishq Anjam Tak Nahi Ponhcha,
Din Hijr Ka Wisl Ki Sham Tak Nahi Ponhcha,
Jane Kis Raqeeb Ko Milte Rahe Payam Tere!
K Koi Khat Mere Dr_o_Bam Tak Nahi Ponhcha
Kia Bataon Aye Maseeha Teri Maseehae K Bad
Dard Kuch Kam To Howa,Aaram Tak Nahi Ponhcha
Aye SANAM! Teri Kasam! Hum Sir Bhi Kata Detay Mgr!
K Tera Hukam Jo Tere Ghulam Tak Nahi Ponhcha
Bhala Kis Naam Se Rakhe Ga Zmana Yad Mujhe!
K Koi Naam Abi Mujh Gum'nam Tak Nahi Ponhcha...!
 
Messages
1,958
Reaction score
1,020
Points
173
Kuch Is Tarha Se Usey Pyar Karna Parta Hai,
K Apne Pyar Se Inkaar Karna Parta Hai,

Kabi Kabi To Wo Itna Qareeb Hota Hai,
K Apne Aap Ko Dewaar Karna Parta Hai,

Khuda Ne Us Ko Ataa Ki Hai Wo Maseehaie,
K Khud Ko Jaan K Bemaar Karna Parta Hai,

Wafa Ki Rah Main Dushwaryian To Aati Hain,
Wafa Ki Rah Ko Humwaar Karna Parta Hai,

Wo Haath Rakh K Mere Dil Pe Jab Poochta Hai,
To Mujh Ko Dard Se Inkaar Karna Parta Hai.
 
Top