• We need your support!

    We are currently struggling to cover the operational costs of Xtremepapers, as a result we might have to shut this website down. Please donate if we have helped you and help make a difference in other students' lives!
    Click here to Donate Now (View Announcement)

Poetry! =P

Messages
971
Reaction score
2,693
Points
253
Mujhey Deewana samajhtey hain terey sheher ke log
Merey daaman se ulajhtey hain terey sheher ke log
Main gaya waqt hoon, wapas naheen aaney wala
Kiun meraa raasta taktey hain terey sheher ke log
Jab bhi aata hey meraa naam terey naam ke saath
Meri qismat pey sulagtey hain terey sheher ke log
Aur kiyaa doon tujhey main apni wafaaon ka suboot
Ab merey haal pey hanstey hain terey sheher ke
 
Messages
971
Reaction score
2,693
Points
253
nazar se door hota ja raha hai
k woh majboor hota ja raha hai
ussey hum sey taghafal ka gilla hai
jo khud maghroor hota ja raha hai
azzal sey rouh to apni thii ghayal
badan bhi choor hota ja raha hai
mohabbat jurm banti ja rahi hai
ajab dastoor hota ja raha hai
khuda jaaney teri aankhon mein kya hai
k dil majboor hota ja raha hai
mohabbat ka adhoora sa fasaana
buhat mashhoor hota ja raha hai
 
Messages
971
Reaction score
2,693
Points
253
Ab kyun dil ko saza di hum ne,
uski har baat bhullaa di humne.
Ek-ek phool yaad aayaa,
shaakhn-e-gul jab woh jala di humne.
Aaj tak jis pe woh shermaate rahe,
baat woh kab ki bhulla di humne.
Aaj phir yaad bahut aaya woh,
aaj phir usko duaa di humne.
Koi to baat hai unmein,
har khushi jis pe lutaa di humne.
 
Messages
971
Reaction score
2,693
Points
253
kyaa khabar thii ke main is darjaa badal jaungaa
Tujh ko kho duungaa tere gham se sambhal jaauungaa
ajanabii ban ke miluungaa main tujhe mahafil mein
tuu ne chhedii bhii to main baat badal jaauungaa
Dhuundh paaye na jahaan yaad bhii terii mujh ko
aise jangal mein kisii roz nikal jaauungaa
zid mein aaye hue maasuum se bachche kii tarah
Khud hii kashtii ko dubone pe machal jaauungaa
 
Messages
971
Reaction score
2,693
Points
253
Pather bana diya mujay ronay bhi nahi diya
Daman bhi tere ghum nay bhigonay nahi diya
Tanhaiyaan tumahra pata poochti rahien
Shab bhar tumhari yaad nay sonay nahi diya
Ankhon pay aakay beth gai ashkon ki leher
palkon pay koi khawab pironay nahi diya
Dil ko tumharay naam k ansoo aziz thay
Duniya ka koi dard samonay nahi diya
Youn us ki yaad chali haath thaam kay
Melay mein iss jehan k khonay nahi diya
 
Messages
5,330
Reaction score
11,839
Points
698
Unity is your best hope
just cling on to a single rope
strength is what you shall achieve
just realise your dreams
prosperity is the ultimate aim
but to achieve it you shall have to win life's game
the game of trials and tests
hardwork is the vital aspect​
never refrain from going an extra mile
just stand on the correct tile
life's a jigsaw and you have to solve it
mistakes are which will help you bit by bit
just never lose hope
for with all situations you can cope​
 
Messages
2,951
Reaction score
17,783
Points
523
Unity is your best hope​
just cling on to a single rope​
strength is what you shall achieve​
just realise your dreams​
prosperity is the ultimate aim​
but to achieve it you shall have to win life's game​
the game of trials and tests​
hardwork is the vital aspect​
never refrain from going an extra mile​
just stand on the correct tile​
life's a jigsaw and you have to solve it​
mistakes are which will help you bit by bit​
just never lose hope​
for with all situations you can cope​
:love:
 
Messages
5,330
Reaction score
11,839
Points
698
The tears in the rain
cause the greatest pain
i weep and cry
but everyone passes by
showing indifference to my grief
i wonder how will i ever find relief
the sorrow eats me from inside
it's cause is visible to all,there's nothing to hide
yet no one comforts me
how selfish is mankind, i can see
i curse myself for looking towards others
they tend to be your brother
but desert you at the first chance​
the world is a traitor i realise
i wipe my tears and get ready for the fight
against the scourage thats afflicted me
but now is the time to be from it free​
 
Messages
971
Reaction score
2,693
Points
253
pyas wo dil ki bujhane kabhi aya bhi nahin
kaisa baadal hai jiska koi saya bhi nahin

berukhi is se bari aur bhala kya hogi
ek muddat se hamein us ne sataya bhi nahin

roz ata hai dar-e-dil pe wo dastak dene
aj tak hamne jise pas bulaya bhi nahin

sun liya kaise Khuda jane zamane bhar ne
wo fasana jo kabhi hamne sunaya bhi nahin

tum to shayar ho 'Qateel' aur wo ik am sa shakhs
us ne chaha bhi tujhe aur jataya bhi nahin
 
Messages
108
Reaction score
289
Points
73
pyas wo dil ki bujhane kabhi aya bhi nahin
kaisa badal hai jiska koi saya bhi nahin

berukhi is se bari aur bhala kya hogi
ek muddat se hamein us ne sataya bhi nahin

roz ata hai dar-e-dil pe wo dastak dene
aj tak hamne jise pas bulaya bhi nahin

sun liya kaise Khuda jane zamane bhar ne
wo fasana jo kabhi hamne sunaya bhi nahin

tum to shayar ho 'Qateel' aur wo ik am sa shakhs
us ne chaha bhi tujhe aur jataya bhi nahin
Awesome :D
 
Messages
347
Reaction score
152
Points
53
Bharam rakh lo mohabat ka
wafa ki shaan ban jao,

kisi pe jan dedo ya kisi ki jaan ban jao,

Tumhary nam se mujh ko pukaren ge jahan waly,

Mein ban jaon fasana aur tum unwan ban jao.
 
Top