• We need your support!

    We are currently struggling to cover the operational costs of Xtremepapers, as a result we might have to shut this website down. Please donate if we have helped you and help make a difference in other students' lives!
    Click here to Donate Now (View Announcement)

Poetry! =P

Messages
2,332
Reaction score
9,506
Points
523
Apni khilkat pe kar ghor insaan sada
iss haqqeqat se kya tu nahi ashnaa
nannai nannai se they tere dasto baan
maan ke seenai se lag ke soya hoa
itne kamzoar laghar si jaan thi teri
kaam krti rahi jo maa thi teri
dood do saal us ne palaya tuje
sardi gharmi sei uss nei bachaya tuje
dhood dena agr wo bhoolti agar
ro kr to leta tha us ki khabar
to jo roya to sath maa rui terai
pyar ke nashee mein jo khoyi terai
apne sukh chain tuj pr lutati rahi
jaag kr khud tuje sulati rahi
terai janib rahe taa uski nazar
ek hi karwat wo leit ti raat bhar
Allah Allah ki lori wo gaati hui
hole hole qamar thap thapati hui
hath teri kamar pr hi wo so gayi
terai hilne pr bedaar wo ho gayi
tu nei thori si oon aan ki thi abhi
chup karane wo tujko tarap kr uthi
ghir na jaye to karwat badalte huye
takye rakhti thi dayeen baayeen terai
tu jo sardi mein bistar bhigota kabhi
ho kei thandak se bechain rota kabhi
goad mei le kr phir wo sulati tuje
ghar mein bistar pr apne litati tuje
tuj ko bemaar bachpan mein jab bhi lagi
to wo tuj ko nahi use thi lagi
maan se seekha tha jo wo bolne lag gya
jo tu chalne laga dhorne lag gya
jab tak tu skool sei ghar ata na tha
maan ka bechain dil chain paata na tha
khel kr tu shaam ko ata na ghar
ghar ke darr pr hi thi rehti uski nazar
baap ne apna khoon e jigar baich kr
karch tuj pr kya apna ghar baich kr
raat din krke mehnat parhaya tuje
kaat kr pait apna khilaya tuje
sath maa ki dua thi terai dam badam
phir jawanii ke seenai pe rakha qadam
taan kr seena chalta tha tu iss tarah
phaar dale ga tu ye zameen jis tarah
apni quwwat pe tujko bara naaz tha
jaise chiryaan thi sab aur tu shahbaaz tha
naaz apni jawwani pr krne laga
aik parri shakl larki pr marne laga.
(continued)
 
Messages
2,332
Reaction score
9,506
Points
523
Ghori rangat thi zulfein thi kaali ghani
wo pari shakl phir teri dulhan bani
us ki chahat mein tu ghum hoa iss qadar
li na tu nai apne maan baap ki phir kuch khabar
hotloon pr tu khaney khilaney laga
roaz shopping pe le le kr tu jaane laga.
baap ne jo bacha kr rakha hoa.
tu nai iyaashyun mein dya sab ghawaan
aaj hain wo jo lachaar hain
tuj se do rotyun ke talabghaar hain
jin ke hisse ki khata raha botyaan
tuj ko mushkil hain aj unki un ki do rotyaan
deir hi maan pr insaaf gharne laga
waqt be waqt un se tu larne laga
aik din maan nei itna kaha ey pisar
yun burhape mein mat pheir humse nazar
ab tere bin koi bhi hamara nahi
juz tere ab koi bhi sahara nahi
phir tu nei palat kr maan se kaha
muj mein bilkul nahi hosla ab raha
meri nazroon se ab jald ho jao ghum
jao bahir kahin jakar mar jao tum
teri is baat se wo pareshaan hui
chal ke raah kaat kr wo sabr maah hui
tereai kaye ke aqloon ki ulaad nei
kaam kuch na kya unki faryaad nei
bhar ke bahoon mein bolein kahan jayen gai
hum jahan jayen gai thokrein khayen gai
tuj pe roab apni begham ka tha iss qadar
unki faryaad tuj pr gayi be asar
rote rote rukhsat jo hone lage
ghar ke deewar ghar sath rone lage
sun kei faryad unki gya arsh hil
reham aya na tujko magar sangdil
kin khuda si unhoon nei jo roo roo dua
ek khuda darr se le asra de dya
(continued)
 
Messages
2,332
Reaction score
9,506
Points
523
gham ke badal umde thai wo chat gaye
dood pi kr do chaar din jo kat gaye
jee liya jis kadar unki qismat hui
baap bhi chal dya maan bhi ruksat hui
marte marte tuje yaad krte rahe
gham wo teri mohabbat ka bharte rahe
terai haq mein dua'een wo krte rahe
din teri zindagi ke guzarte rahe
ab jawwani ka qissa purana hoa
ek haqeeqat thi jo ab fasaana hoa
ab zara haal pe bhi kr tu nazar
kis qadar burhape ka tuj pe asar
hilna julna bhi ab tuj ko duswaar hai
teri khidmat se har shaks bezaar hai
befikr ab dukh hata taa nahi
seedai mun tuj ko bulata nahi
teri biwi ki halat bhi aisi hi hai
tuj se be dard nahi jaisi bhi hai
donon makhlooq jo muhtaj o majboor ho
khud kamane sei khane sei mazoor ho
apni taqdeer pr ab jo rotai ho tum
haar ashqoon ke bhaite pe rotai ho tum
kabhi socha tha ke aye gai din kare
rote rote ab quatar mein pare.
apne dhandoon se bachoon ko fursat nahi
aaj unko tumhari zroorat nahi
waldein ab tumhe yaad aane lage
un ke chehre dagoon mein chaane lage
laag ab tum karo peechai aaho fawa
baap aaye ga nuth kr na aye gi maa
ro rahe ho khataon pe apni ab
maut krne lage ho khuda se talab
maut bhi to ab apne bas mein nahi
chain kaise miley dastaras mein nahi
zeest tum ka abhi aur tarpaye gi
paish roaz ki museebat ab nahi aye gi
tu nei Allah ka farman bhulaya tha jo
apne maan baap ka dil dukhaya tha jo
jin ke bare mein hai ke unko uff mat kaho
samne un ke aaj tum zeesai raho
kyun za eefi mein unko pareshaan kya?
kyun faramosh tum ne hukm e Quran kya?
phir dunya mein bhugto ab is ki saza
phir jahannum mein phenke ga tujko Khuda
haan.. y mumkin hai toba khuda se karo
un ke haq mein dua gir ghara ke karo
sadqa khairat do nafl bhi kuch parho
phir sawab apne maan baap ko bhaksh do
raazi hoon gai wo to razi hoga khuda
kyunke un ki raza mein hai raazi khuda
sach hai maan baap se jo mohabbat kare
un ke ehkaam ki jo ita'at kare
karei jo khidmat maan baap ki le wo unki dua
Le ga Jannat mein Allah sai uska sila
Rab ki rehmat musalmaan chah agar
lag ja khidmat mein unki tu shaamo sehar
 
Top