• We need your support!

    We are currently struggling to cover the operational costs of Xtremepapers, as a result we might have to shut this website down. Please donate if we have helped you and help make a difference in other students' lives!
    Click here to Donate Now (View Announcement)

Poetry! =P

Messages
971
Reaction score
2,693
Points
253
Aaj Phir Yaad Aa Raha Hy Woh Jisey Kal Rat Bholaya Tha
De Rahi Hy Aziyet Yaad Os Ki Jisey Kal Raat Bholaya Tha

Ker Chokey They Yaqeen Hum To Jis Ko Bhol Janey Ka
Aa Gaya Yaad Aaj Phir Woh Jisey Kal Rat Bholaya Tha

Tark E Taaluq Ker K Mujh Se Na Ho Pasheman Kahein Woh
Sataa Raha Hy Khayal Os Ka Jisey Kal Rat Bholaya Tha

Na Tha Woh Aadi Ik Pal Bhi Mujh Se Door Rehney Ka
Ho Ga Kis Hal Mein Woh Jisey Kal Rat Bholaya Tha

Bahut Takleef Deh Hota Hy Kisi Se Youn Bicher Jana
Kiyon Rolaa Raha Hy Aaj Phir Woh Jisey Kal Rat Bholaya Tha

Bhola Do Tum Bhi Os Ko Jo Tujhy Bhol Gya Hy::Faiz
Soch Rahey Ho Kiyon Osey Jisey Kal Rat Bholaya Tha
 
Messages
971
Reaction score
2,693
Points
253
Meri Nazar Mein Rahti Hai Ek Khwab Si Ladki,
Ki Jaise Saans Leti Hui Mehtaab Si Ladki

Main Usse Faasla Na Rakhta To Aur Kya Karta,
Main Hawaon Sa Paagal.. Woh ek Chiragh Si Ladki

Use Suna Nahi.. Mehsoos Kiya Hai Maine,
Har Ek lafz Pe Chup Hai Woh ek Kitaab Si Ladki

Darmiyaan Mein Hamare Hazaron Hijaab Hain Lekin,
Phir Bhi Zahir Hai MujhPe Woh Naqaab Si Ladki

Uske Samne Mein Be-Zubaan Sa Rah Jata Hun,
Kai Sawaal Liye.. Woh Jawaab Si Ladki ...
 
Messages
971
Reaction score
2,693
Points
253
Itna to Mery Haal Pr Ehsaan Kiya Kr
Aankhon Se Mera Dard Pehchan Liya Kr
Kuch Saath Dey Safar men Boht thak Gya Hoon Main
Kuch Pal Hon Tery Saath Meri Maan Liya Kr
Afsany Mohabat K Adhoorey Na Chorr Too
Jurm-e-Wafa Ka Mujh Se Haal Beyaan Kiya Kr
Muddat Hui Is Aas Pr Thehra Hua Hoon Main
Bhooly Se Kabhi Too Bhi Mera Naam Liya Kr
Apni Zaat Se Wabasta Kr Ley Mujhy
Ho Kr Khafa Mujh Se Yoon Na Meri Jaan Liya Kr
 
Messages
971
Reaction score
2,693
Points
253
Us ke bina ab chup chup rehna acha lagta hai
Khamoshi se dard ko sehna acha lagta hai
Jis hasti ki yad mein Aanso barastey hain
Samne us ke kuch na kehna acha lagta hai
Mil ker us se Bichar na jaon darta rehta hon
Is liye bas door hi rehna acha lagta hai
Janta hon k chahat main bas anso milte hain
Kuch bhi ho ab is zehar ko pena acha lagta hai
Ji chahey sb khushiyan lai kar us ko de don
us ke pyar main sb kuch khona acha lagta hai
 
Messages
74
Reaction score
461
Points
63
Har Taraf Parhai Ka Saya Hai
Kitaabo Mein Sukh Kisnay Paya Hai

Har Taraf Parhai Ka Saya Hai
Kitaabo Mein Sukh Kisnay Paya Hai

Hum To Jatay Hain College Mein Larkiyan Dekhnay
Aur Log Kehtay Hain Itni Baarish Mein Bhi Parhnay Aya Hai :p
lolz but still nycz :p :ROFLMAO:
 
Messages
1,466
Reaction score
21,177
Points
523
Har Taraf Parhai Ka Saya Hai
Kitaabo Mein Sukh Kisnay Paya Hai

Har Taraf Parhai Ka Saya Hai
Kitaabo Mein Sukh Kisnay Paya Hai

Hum To Jatay Hain College Mein Larkiyan Dekhnay
Aur Log Kehtay Hain Itni Baarish Mein Bhi Parhnay Aya Hai :p
Hahahaha epic
 
Messages
971
Reaction score
2,693
Points
253
Itni haya itna tabassum kyu hai aaj in aakho me,
kyu bahak rahi hai tu kya basa hai in saanso me,
hai tu mera aks meri parchhai meri jaan tu,
aa main bhar du bas phool hi phool teri in raaho me…
 
Messages
971
Reaction score
2,693
Points
253
mujhay baar baar sada na day
meri hasraton ko hawa na day
meray dil mien aatish e ishq hay
meri aag tujh ko jala na day ...
 
Messages
971
Reaction score
2,693
Points
253
Epic :

When it seems like the night will last forever,
And there's nothing left to do but count the years,
When the strings of my harp to sever,
And stones fall from my eyes instead of tears...
I will walk alone by the black muddy river,
And dream me a dream of my own,
I will walk alone by the black muddy river,
And sing me a song of my own.
- - - Robert Hunter (Grateful Dead) "Black Muddy River"
 
Messages
1,466
Reaction score
21,177
Points
523
Dilbar meray...kab tak mujhe
Aise hi tarpao ge....mei ag dil mein lagadon ga woh
ke paal mein pighal jao ge
Ths is a song basically
 
Messages
473
Reaction score
1,511
Points
153
Iqbal's Message to the youth, Something Worth Sharing


Kabhi Ae Naujawan Muslim, Tadabbur Bhi Kiya Tu Ne
Woh Kya Gardoon Tha Tu Jis Ka Hai Ek Toota Huwa Tara

Have ever you pondered, O Muslim youth, On deep and serious things?
What is this world in which this you is only a broken star?


Tujhe Iss Qoum Ne Pala Hai Aghosh-e-Muhabbat Mein
Kuchal Dala Tha Jis Ne Paon Mein Taj-e-Sar-e-Dara


You came of a stock that nourishes you In the close embracing of love,
A stock that trampled under foot Dara who wore the crown.


Tamaddun Afreen, Khallaq-e-Aaeen-e-Jahandari
Woh Sehra-e-Arab Yani Shutar-Banon Ka Gehwara


Civilization’s grace they forged to a world‐disposing law,
Those folks that came from the Arab sands that cradled their camel‐men.


Sama ‘Al-Faqru Fakhri’ Ka Raha Shan-e-Amarat Mein
‘Baab-o-Rang-o-Khal-o-Khat Che Hajat Rooye Zaibara’


The simple life was the pride they had in their deeds of glorious show.
How does the lovely face feel need of rouge and mole and art?


Gadai Mein Bhi Woh Allah Wale The Ghayoor Itne
Ke Mun’em Ko Gada Ke Dar Se Bakhshish Ka Na Tha Yara


In pure plain life and in fear of God they lived their modest way.
The rich man stood in no fear of the poor that he gives his wealth in fee.


Gharz Main Kya Kahun Tujh Se Ke Woh Sehra Nasheen Kya The
Jahangeer-o-Jahan Dar-o-Jahan Baan-o-Jahan Aara


In short, in words can I tell to you what were these desert men?
Holders, Keepers, Saviours, Adorners of what we call the world.


Agar Chahon To Naqsha Khainch Kar Alfaz Mein Rakh Dun
Magar Tere Takhiyyul Se Se Fazoon Tar Hai Woh Nazara


If I should draw the sketch aright limning the form in words,
The vision I’d draw would be better far than all your fancy paints.


Tujhe Aaba Se Apne Koi Nisbat Ho Nahin Sakti
Ke Tu Guftar Woh Kirdar, Tu Sabit Woh Sayyara


There is no standard by which to judge Yours and your father’s worth.
You utter words but they did deeds. They roamed: you stay at home.


Ganwa Di Hum Ne Jo Aslaf Se Meeras Payi Thi
Surreya Se Zameen Par Asman Ne Hum Ko De Mara


We have despoiled the inheritance that we from our fathers won.
The heaven from the zenith has dashed it down


Hukumat Ka To Kya Rona Ke Woh Ek Aarzi Shay Thi
Nahin Dunya Ke Aaeen-e-Musallam Se Koi Chara


And cast it on the ground. what is this weeping at ordered things
That it is the affair of a day? Except the help of all‐certain law


Magar Woh Ilm Ke Moti, Kitabain Apne Aaba Ki
Jo Dekhain In Ko Yourap Mein Tou Dil Hota Hai Seepara


The world has no other plan. but if those pearls of learning’s lore,
Those books our fathers wrote we see in Europe made scholar’s joy, The heart is rent with grief.


"Ghani Rouz-e-Siyah-e-Peer-e-Kanaan Ra Tamasha Kun
Ke Noor-e-Didah Ash Roshan Kunan Chashm-e-Zulekhara”


O Ghani*, behold the darkened day Kinan’s old man once knew,
That the light of his eyes to Zuleikha’s eyes might bring the brightness of sight.

 
Messages
137
Reaction score
362
Points
73
Mujhe dard e ishq ka mazaa maloom hai,
Dard e dil ki inteha maloom hai,
Zindagi bhar muskurane ki dua naa dena,
Mujhe pal bhar muskurane ki sazaa maloom hai..

Bicher jana tu os k liye maenay nahin rakhta,
Jafaon ka apni hissab wo zabani nahin rakhta,
Rota nahin ya osay rona nahin aata,
Sungdil hai ya phir aankhon mein pani nahin rakhta….

Aashna hotey huay bhi aashna koi nahin
Jantey hain sab mujhy pehchanta koi nahin
Mukhtasir lafzon mein ye hai mizaj-e-dosti
Rabta beshak hai sab se wasta koi nahin

Mere aur Us ke chahne me ek farq tha,
Mujhe wo aur Us ko sara zamana chahiye tha

Nadaani mein hum kisse apna samajh baethe,
Jo dikhaaya uss Bewafa ne Sapna, hum haqeeqat samajh baethe
Dekho aaj chod diya hamein, Usne ek Gair ke liye,
Jisse hum apna Humsafar samajh baethe

zakhm itna gehra hain izhaar kya kare
hum khud nishana ban gaye vaar kya kare
so gaye hum magar khuli rahi aankhen
is se zyada unka intzaar kya kare

Bhool jana tha to phir apna banaya kiyon tha
Jhooti ulfat ka yaqin dilaya kiyon tha
Apni chahat ka yaqin dilaya kiyon tha
hooti manzil ka neshan banaya kiyon tha

Wo muskra k dard taal deta hy,
Kisi kisi ko khuda ye kamal deta hy.
Nazar utha k jis ko dekh le wo ek bar,
Yaqeen karo usay mushkil main daal deta hy.

Bus ik zara khayal is dosti ka tha,
Warna bohat gila teri berukhi ka tha,
Mujhko laga mai b teri zindgi men hoon,
Per ye to koi dhoka meri saadgi ka tha…
just copy pasted and saved it!
 
Top