• We need your support!

    We are currently struggling to cover the operational costs of Xtremepapers, as a result we might have to shut this website down. Please donate if we have helped you and help make a difference in other students' lives!
    Click here to Donate Now (View Announcement)

Poetry! =P

Messages
971
Reaction score
2,693
Points
253
  1. Meri aankh main yeh jo raat hay meri umar si, issey taal dey
    Merey dasht-e-regey malal ko kisi khush khabar k ghazal dey

    Yeh falak pey jitney najoom hain terey hukam k hain yeh sub muntazir
    Woh jo subh-e-nau ka naseeb ho, ussey meri simt ko uchaal dey
 
Messages
971
Reaction score
2,693
Points
253
Barish jab bhi uski chhat ko bhigoti hogi,
wo bhi meri yaad mein roti hogi,
wo kare lakh mana magar mera naam sunkar,
halki si chubhan uske dil mein bhi hoti hogi.
.
Hum to luta chuke hein sab kuch pyaar mein,
ab chain se wo bhi kahan soti hogi,
Ji rahe hein milan ke chand lamhon ke sahare,
wo bhi akele mein meri yaadein sanjoti hogi.
 
Messages
971
Reaction score
2,693
Points
253
abhi tou ishq ki pehli serhi pay qadam rakha hay
abhi say tark e duniya ? abhi say marnay ki batein ?
 
Messages
971
Reaction score
2,693
Points
253
Kahan aa k ruknay they rastay, kahan morr tha usay bhool ja
wo jo mil gaya usay yad rakh jo nahi mila usay bhool ja

wo tere naseeb ki barishein ksi aur chat pe baras gayein
dil-e-bekhabar meri baat sunn usay bhool ja usay bhool ja

mein to gum tha tere he dheyan mein, teri aas, tere gumaan mein
saba keh gai mere kaan mein mere saath aa usay bhool ja

ksi ankh mein nahi ashk-e-gham, tere baad kuch bhi nahi hai kam
tujhe zindagi ne bhula dia tu bhi muskura usay bhool ja

kyun attaa hua hai ghubaar mein, gham-e-zindagi k fishaar mein
wo jo darj tha tere bakht mein, so wo ho gaya usay bhool ja

na wo ankh he teri ankh thi, na wo khawb he tera khawb tha
dil-e-muntazir tou ye kis liay,tera jaagna, usay bhool ja

ye jo raat din ka hai khel sa, isay dekh, is pe yaqeen na ker
nahi aks koi b mustaqil, sir-e-aaina usay bhool ja

jo bisaat-e-jaan he ulat gaya, wo jo rastay mein palat gaya
usy roknay se hasool kya, usay mat bula, usay bhool ja
 
Messages
1,001
Reaction score
17,743
Points
523
Zahid sharab peenay de musjid main baith kr
ya woh jaga pata jahan khuda mojood nahi
(ghalib)

musjid khuda ka ghar hai, peene ki jagha nahi
kafir ke dil main ja, wahan khuda mojood nahi..
(iqbal)

kafir ke dil se aya hoon yeh dekh kr
khuda mojood hai wahan,pr use pata nahi
(faraz)
 
Messages
3,412
Reaction score
9,812
Points
523
My Serenity

The darkness slowly fades out of existence tonight;
Serenity that I once coveted hits me like the light.

Sleep continues to elude me tonight;
taking away with it any trace of humanity.

Her memory that I once cherished,
Is nothing more than a forgotten rhyme now.

I am the breeze; slowly whooshing through the lonely night.
I am the storm; destroying everything in sight.

The darkness slowly fades out of existence tonight;
Serenity that I once coveted hits me like the light.

Tonight – I must not fail,
everything won’t be in vain.

I will make this night count;
the darkness will no longer be around.

I am the moon; bright but alone,
in a sky full of stars I glow.

The darkness slowly fades out of existence tonight;
Serenity that I once coveted hits me like the light.

There must be a reason for this serendipity
I will be the knight, armored by my serenity.

Maybe all this is a twisted dream,
no matter how realistic it may seem.

But - I am alive,
so tonight I will survive.

The time for games is over now;
need to get a hold of myself now.

In this ocean of darkness lies a dream,
though unattainable it does seem.

The screams of the night sky scare me;
Lost in this darkness – I cannot see.
But a ray of hope I finally perceive.

The darkness slowly fades out of existence tonight;
Serenity that I once coveted hits me like the light.

Date written: 13th April 2015.




 
Top