• We need your support!

    We are currently struggling to cover the operational costs of Xtremepapers, as a result we might have to shut this website down. Please donate if we have helped you and help make a difference in other students' lives!
    Click here to Donate Now (View Announcement)

Poetry! =P

Messages
1,001
Reaction score
17,743
Points
523
Teri bargah main Aye khuda, Junhi Sar jhuka diya
Usi waqt teri khudayi ne, Mujhay pastiyion se Utha diya.

Main Zaleel tha Main haqeer tha Main teray Dar ka Faqeer tha
Tune ek hi Sajde main , Mujhay Kya se Kya bana diya

Raag-e-Jaan se bhi tu qareeb hai, Tu hi likhta sabke naseeb hai
Jissey chaha Pal main utha diya , Jissey chaha Pal main gira diya
 
Messages
1,466
Reaction score
21,177
Points
523
Teri bahoon mei hai meray doono jahaan
tu rahey jidhar meri janaat wahin.....
jal rahi hai jo ye agan
hai jo ye do tarfaa...na bhujey kabhi meri manaat yehi
tu meri arzoo....mei teri ahsiqui
tu meri shayari..mei teri mausiqui

Talab talab talab
bas teri hai mujhe
nasoo mei tu nasha banke ghooma yunhi
meri muhabbat ka karna tu haq ye ada
meri hokey hamesha hi rehna
kabhi na kehna alvidaaa.....
 
Messages
1,466
Reaction score
21,177
Points
523
Aag

Muflison! Apne Muqaddar Se Shikayat Na Karo
Is Se Insaan Ke Emaan Mai Farq Aata Hai

Hum To Na-Cheez Se Bande Hain Hamen Kiya
Kon Si Baat Mai Kiya Maslihat-E-Yazdaan Hai

Kitna Gumraah-O-Gunah Gaar Hue Jaate Hain
Kiya Kaha? “Khanumaan Barbaad Hue Jaate Hain

Dam Ba Dam Aag Ke Be-Rehm Lapakte Sholey
Apne Boseeda Makaan Raakh Kiye Dete Hain

Khaak Hi Khaak Hui Jati Hai Duniya Apni
Aur Is Aatish-O-Zulmaat Ke Sailaab Mai Bhi

Marmar-O-Aahan-O-Seemaan Ki Imaaraat-E-Buland
Issi Pindaar Issi Shaan Se Asteeda Hain

Kiya Khuda Sirf Ghareebon Pe Sitm Dhaata Hai”
Theek Kehte Ho Magar Khaam Aqaaid Walo

Hum To Taqdeer Ke Bande Hain Hamen Kiya Maloom
Kon Si Baat Mai Kya Maslihat-E-Yazdaan Hai

Aur Phir Apni Shikayat Se Bhi Kya Hota Hai
Wohi Hota Hai Jo Manzoor-E-Khuda Hota Hai

(Ahmed Faraz)
 
Messages
1,414
Reaction score
18,489
Points
523
Alfaz Kay jhooty bandhan mai..
Ezaz Ky gehry pardo mai..
Har shakss muhabat krta hai..
Halaky muhabat kuch b nahi..
Sab jhooty rishty naaty hain..
Sab dil rakhny ki baten hain..
Kab kon kesi ka hota ha..
Sab asli roop chupaty hain..
Ehsas sy khali log yahan..
Lafzon k teer chalaty hain..
 
Messages
4,988
Reaction score
23,955
Points
523
Alfaz Kay jhooty bandhan mai..
Ezaz Ky gehry pardo mai..
Har shakss muhabat krta hai..
Halaky muhabat kuch b nahi..
Sab jhooty rishty naaty hain..
Sab dil rakhny ki baten hain..
Kab kon kesi ka hota ha..
Sab asli roop chupaty hain..
Ehsas sy khali log yahan..
Lafzon k teer chalaty hain..
Wah wah :')
 
Messages
1,414
Reaction score
18,489
Points
523
Kal Halki Halki Barish Thi
Kal Sard Hawa Ka Raqs Bhi Tha
Kal Phool Bhi Nikhray Nikhray The
Kal Un Pe Aap Ka Aks Bhi Tha
Kal Badal Kalay Gehray The
Kal Chaand Pe Lakhon Pehray The
Kuch Tukray Aap Ki Yaad K
Bari Dair Se Dil Main Thehray The
Kal Yaaden Uljhi Uljhi Thi
Aur Kal Tak Ye Na Suljhi Thi
Kal Yaad Bohat Tum Aye The
Kal Yaad Bohat Tum Aye The...
 
Messages
1,414
Reaction score
18,489
Points
523
Ye kiska tasawur hai, ye kiska fasana hai,
Jo ashk hai aankhon mein tasbih ka dana hai...

Aankhon mein nami si hai chup-chup se wo baithe hain,
Nazuk si nigaahon mein naazuk sa fasana hai...

Ye ishq nahin aasaan itana to samajh lije,
Ek aag kaa dariyaa hai aur doob ke jana hai...!

Yaa wo the khafa ham se ya ham the khafa unse,
kal un ka zamana tha aaj apana zamana hai....
 
Top