• We need your support!

    We are currently struggling to cover the operational costs of Xtremepapers, as a result we might have to shut this website down. Please donate if we have helped you and help make a difference in other students' lives!
    Click here to Donate Now (View Announcement)

Poetry! =P

Messages
3,401
Reaction score
9,793
Points
523
pachtawa nahi bas, dil-e-bailagam ki saza hai
or kuchh nahi, ibaadat-e-qalb ki jaza hai

seenay may meray jigr-e-tanha ki kaifiyat ka
mujhay hi nahi pata to usay kiya andaza hai

ye mohlak judayi hui bhi to kiya khoob hai
juzw-e-hujum ho kay bhi tanhayi ki si fiza hai

bai-khof "khudi" ko bas judayi say der tha
tanhayi muzr bhi, or tanhayi hi meri ghiza hai

itnay piyaar say dil may rakh kay ab nikal diya mujhay
bai-ijaazat jaun to kis tarhan? kay khula ab bhi darwaza hai

matlab-e-zindagi sikha diya mujhay, or mujhay maalum nahi
dil-e-lachar ko piyaar say cheer do, yahi to zindagi ka maza hai
(Ahmed)
 
Last edited:
Messages
2,865
Reaction score
13,723
Points
523
The beauty of the soul is it's wisdom,
The beauty of an oak it's age,
The tales of the past make the legend,
If it were human, the oak could write it's years.. Filling up each and every page..

It holds the water, you hold the story,
It withstands changing environments, you the stress,
Oh how we compare to the great old oak tree,
Yet it stands tall, strong and bold.. Yet we drown in our distress..
-knowitall10-
 
Last edited:
Messages
3,401
Reaction score
9,793
Points
523
is baghi zehn ko, kisi ki aaghosh chahiye
dubtay dil ko, uchhala nahi, ik aaghosh chahiye

in tapaktay aansuwon k liye thali mozun nahi
is chhalakti jaan ko, samaitnay k liye aaghosh chahiye

tapish-e-lahu say, jazbaat ki wo garmi zahir ho
mujhay ragon may apni, wo josh chahiye

ulfat ho to aisi k khatayen bhi pyar may ghul jayen
suroor-e-sukhn may, wo hosh-e-bai.hosh chahiye

ta'alluq-e-uns-o-khalish kuchh paicheeda hai
khata ko izhar-e-pyar samajhnay wala, khata-posh chahiye
(Ahmed)
 
Last edited:
Messages
1,341
Reaction score
5,963

kisne apka dil tora ashique?
 
Top