• We need your support!

    We are currently struggling to cover the operational costs of Xtremepapers, as a result we might have to shut this website down. Please donate if we have helped you and help make a difference in other students' lives!
    Click here to Donate Now (View Announcement)

Poetry! =P

Messages
1,160
Reaction score
3,858
Points
273
Shiraza Huwa Millat-e-Marhoom Ka Abtar
Ab Tu Hi Bata, Tera Musalman Kidhar Jaye!

Woh Lazzat-e-Ashob Nahin Beher-e-Arab Mein
Poshidah Jo Hai Mujh Mein, Woh Toofan Kidhar Jaye

Har Chand Hai Be-Qafla-o-Rahla-o-Zaad
Iss Koh-o-Bayaban Se Hudi Khawan Kidhar Jaye

Iss Raaz Ko Ab Fash Kar Ae Rooh-e-Muhammad (S.A.W.)
Ayaat-e-Elahi Ka Nigheban Kidhar Jaye!
 
Messages
1,466
Reaction score
21,177
Points
523
Dil mein ek lehar si uThi hai abhi.
Koi taza hava chali hai abhi.

Shor barpa hai Khana-e-dil mein;
Koi divar si giri hai abhi.

Kuchh to nazuk mizaj hain ham bhi;
Aur ye choT bhi nayi hai abhi.

Bhari duniya mein ji nahien lagta;
jaane kis cheez ki kami hai abhi.

Tu shareek-e-suKhan nahien hai to kya;
Ham-suKhan teri Khaamoshi hai abhi.

Yaad ke be-nishaan jazeeroon se;
Teri aavaz aa rahi hai abhi.

Shehar ki be-chiraaGh galiyoon mein;
Zindagi tujh ko DhuunDhti hai abhi.

So gaye loug us haveli ke;
Ek khiRki magar khuli hai abhi.

Tum to yaro abhi se uTh baiThe;
Shehar mein raat jagti hai abhi.

Vaqt achha bhi aayega 'Nasir';
Gham na kar zindagi paRi hai abhi.

(Poet: Nasir Kazmi)
 
Messages
1,466
Reaction score
21,177
Points
523
Ay humnavaa...mujhr apna bana le
soOkhi pari dil.ki is zameen ko bheegade
hon akela...zara haath barhade.....sookhi pari dil ki is zameen ko bheegade
Kab se mei dar dar phir raha
musafir dil ko.panah de....tu awargi ko meri aj tehrdaaaade
ho sake to...thora pyaar jata de
sookhi pari dil ki.is zameen ko bheegade
 
Messages
4,988
Reaction score
23,955
Points
523
Koi Ummeed Bar Nahin Aatee

koi ummeed bar naheen aatee
koee soorat nazar naheen aatee

maut ka ek din mu’ayyan hai
neehd kyon raat bhar naheeh aatee?

aage aatee thee haal-e-dil pe hansee
ab kisee baat par naheen aatee

jaanta hoon sawaab-e-taa’at-o-zahad
par tabeeyat idhar naheen aatee

hai kuchch ‘eisee hee baat jo chup hoon
warna kya baat kar naheen aatee?

kyon na cheekhoon ki yaad karate hain
Meri awaaz gar nahin aati.

daagh-e-dil gar nazar naheen aata
boo bhee ‘ei chaaraagar ! naheen aatee

ham wahaan hain jahaan se hamko bhee
kuchch hamaaree khabar naheen aatee

marte hain aarzoo mein marne ki
maut aatee hai par naheen aatee

kaaba’a kis munh se jaaoge ‘Ghalib’
sharm tumko magar naheen aatee
 
Messages
1,001
Reaction score
17,743
Points
523
Hai Nafs Kay Hathon Tu Majboor Kitna
Sab Jan Kay Bhi Ajj La-Shaoor Kitna

Jis Chehre Nay Hai Ek Din Mitti May Mil Jana
Us Chehre Pe Hai Tujhe Ghuroor Kitna

Ek Sajde K Inkar Nay Iblees Ko Shaitaan Bana Dia
Tu Khud Jan Le Tera Hai Qusoor Kitna

Jinki Sunnat Pe Chalna Tujhay Gawara Nahin
Tere Wastay Roye Thay Woh Huzoor (S.A.W) Kitna

Tu Nay Chakhi Hai Faqat Gunahoan Ki Lazzat
Tu Kia Jane Zikr-E-Ilahi Me Hai Suroor Kitna

Teri Sheh Rag Say Bhi Ziada Jo Tere Qareeb Hai
Phir Bhi Us Zaat Say Hai Tu Door Kitna​
 
Messages
1,160
Reaction score
3,858
Points
273
Hai Nafs Kay Hathon Tu Majboor Kitna
Sab Jan Kay Bhi Ajj La-Shaoor Kitna

Jis Chehre Nay Hai Ek Din Mitti May Mil Jana
Us Chehre Pe Hai Tujhe Ghuroor Kitna

Ek Sajde K Inkar Nay Iblees Ko Shaitaan Bana Dia
Tu Khud Jan Le Tera Hai Qusoor Kitna

Jinki Sunnat Pe Chalna Tujhay Gawara Nahin
Tere Wastay Roye Thay Woh Huzoor (S.A.W) Kitna

Tu Nay Chakhi Hai Faqat Gunahoan Ki Lazzat
Tu Kia Jane Zikr-E-Ilahi Me Hai Suroor Kitna

Teri Sheh Rag Say Bhi Ziada Jo Tere Qareeb Hai
Phir Bhi Us Zaat Say Hai Tu Door Kitna​
(y)(y)(y) Is this Iqbal's poetry ? :unsure:
 
Top