badrobot14
XPRS Administrator
- Messages
- 3,476
- Reaction score
- 34,725
- Points
- 523
ok, I've decided to share a poem... its in urdu... and uses some er.. odd words... but its message is one at which a person should cry....
(you can ask me about meaning of hard words, but really a few of them r evn hard for me...) I like it that the poet doesn't put the complete blame on her...
Raqqasa by Hafeez Jalandhri
uThi Hei Maghrib Se GhaTha
Peenay Ka Mausam Aa Gaya!
Hei Raqqs MeiN Ek Mah'laqqa
Naazuk Ada Naaz AfreeN
HaaN Naachti Ja Gaa'ye Ja !
NazrooN Se Dil Barmaa'ye Ja
TaRpaaye Ja TaRpaaye Ja
Oo Dushman-e Duniya-o DeeN
Tera Thirakna Khoob Hei
Teri Ada'yeiN DilnasheeN
Lekin TheHr Tu Kon Hei?
Oo Neem UriyaaN NazneeN
Kiya Mashraqi Aurt Hei Tu
Her Giz NahiN Her Giz NahiN
Teri HaNsi Baybaak Hei
Teri Niggah Chalaak Hei
Uff Kis Qadar Dil'soz Hei
Taqreer Bazaari Teri
Kitni Havas Aamaiz Hei
Yea Saada Purkaari Teri
Sharam Aur Izzat WaliyaaN
Hoti HeiN Iffat WaliyaaN
Wo Husan Ki ShehzadiyaaN
Parday Ki HeiN AbaadiyaaN
Chashm-e Falak Ne Aaj Tak
Dekhi NahiN Un Ki Jhalak
Sarmaaya-e Sharam-o Haya
Zaiver Hei Un Ke Husn Ka
Shohar Ke Dukh Sehti HeiN Wo
Mohn Se NahiN Kehti HeiN Wo
Kab Saamnay Aati HeiN Wo
Ghairut Se KaT Jaati HeiN Wo
Aizaaz-e Millat Unn Se Hei
Naam-e Sharafat Unn Se Hei
Imaan Per Qaa'im HeiN Wo
Pakeezah-o Saa'im HeiN Wo
Tujh MeiN NahiN Sharam-o Haya !
Tujh MeiN NahiN MeHr-o Wafa
Sach Sach Bata Tu Kon Hei?
Yea Pur'fasooN Ghamzay Tere
Na'mehrumooN Ke Saamnay !
HuT Saamnay Se Door Ho
Mardood Ho Maq'hoor Ho
Taqdeer KI HaiTi Hei Tu
Shaitaan KI BeTi Hei Tu
Jis Qaum Ki Aurat Hei Tu
Uss Qaum Per Laa'nut Hei Tu
Lekin TheHr Jana Zara
Teri NahiN Koi Khat'ta
MardooN MeiN Ghairut Hi NahiN
Qaumi Hami'yut Hi NahiN !
Wo Millat-e Baiza Ke Thi !
Saaray JahaN Ki Raushani
Jamiyut-e Islami'yaaN !
Shahnashah-e HindustaaN
Ab Es MeiN Dam Kuch Bi NahiN
Hum Kiya HeiN Hum Kuch Bi NahiN
Milli Siyaasat uTh Gai
Baazo Ki Taaqat uTh Gai
Shaan-e Hijaazi Ab KahaN
Wo Turktaazi Ab KahaN !
Ab Ghaznavi Himmut Gai
Ab Babari Shaukat Gai
Lekin Mujhay Kiya Khabt Hei
Taqreer KiyooN Be'rabt Hei
Itna Sharaabi hO Gaya !
Aqal-o Khird Ko Kho Gaya
Mujh KO Zamanay Se Kiya Gharaz?
MiTnay MiTaanay Se Gharaz?
HindustaaN SE Kaam Kiya
Andaisha-e Islam Kiya
Jeenay Du Jeenay Du Mujhay
Peenay Du Peenay Du Mujhay
Jab Hashar Ka Din Aaye Ga
Uss Waqt Dekha Jaaye Ga
HaaN Naachti Ja Gaaye Ja
NazrooN Se Dil Barmaaye Ja
TaRpaaye Ja TaRpaaye Ja
Oo Dushman-e Duniya-o Deen!
(you can ask me about meaning of hard words, but really a few of them r evn hard for me...) I like it that the poet doesn't put the complete blame on her...
Raqqasa by Hafeez Jalandhri
uThi Hei Maghrib Se GhaTha
Peenay Ka Mausam Aa Gaya!
Hei Raqqs MeiN Ek Mah'laqqa
Naazuk Ada Naaz AfreeN
HaaN Naachti Ja Gaa'ye Ja !
NazrooN Se Dil Barmaa'ye Ja
TaRpaaye Ja TaRpaaye Ja
Oo Dushman-e Duniya-o DeeN
Tera Thirakna Khoob Hei
Teri Ada'yeiN DilnasheeN
Lekin TheHr Tu Kon Hei?
Oo Neem UriyaaN NazneeN
Kiya Mashraqi Aurt Hei Tu
Her Giz NahiN Her Giz NahiN
Teri HaNsi Baybaak Hei
Teri Niggah Chalaak Hei
Uff Kis Qadar Dil'soz Hei
Taqreer Bazaari Teri
Kitni Havas Aamaiz Hei
Yea Saada Purkaari Teri
Sharam Aur Izzat WaliyaaN
Hoti HeiN Iffat WaliyaaN
Wo Husan Ki ShehzadiyaaN
Parday Ki HeiN AbaadiyaaN
Chashm-e Falak Ne Aaj Tak
Dekhi NahiN Un Ki Jhalak
Sarmaaya-e Sharam-o Haya
Zaiver Hei Un Ke Husn Ka
Shohar Ke Dukh Sehti HeiN Wo
Mohn Se NahiN Kehti HeiN Wo
Kab Saamnay Aati HeiN Wo
Ghairut Se KaT Jaati HeiN Wo
Aizaaz-e Millat Unn Se Hei
Naam-e Sharafat Unn Se Hei
Imaan Per Qaa'im HeiN Wo
Pakeezah-o Saa'im HeiN Wo
Tujh MeiN NahiN Sharam-o Haya !
Tujh MeiN NahiN MeHr-o Wafa
Sach Sach Bata Tu Kon Hei?
Yea Pur'fasooN Ghamzay Tere
Na'mehrumooN Ke Saamnay !
HuT Saamnay Se Door Ho
Mardood Ho Maq'hoor Ho
Taqdeer KI HaiTi Hei Tu
Shaitaan KI BeTi Hei Tu
Jis Qaum Ki Aurat Hei Tu
Uss Qaum Per Laa'nut Hei Tu
Lekin TheHr Jana Zara
Teri NahiN Koi Khat'ta
MardooN MeiN Ghairut Hi NahiN
Qaumi Hami'yut Hi NahiN !
Wo Millat-e Baiza Ke Thi !
Saaray JahaN Ki Raushani
Jamiyut-e Islami'yaaN !
Shahnashah-e HindustaaN
Ab Es MeiN Dam Kuch Bi NahiN
Hum Kiya HeiN Hum Kuch Bi NahiN
Milli Siyaasat uTh Gai
Baazo Ki Taaqat uTh Gai
Shaan-e Hijaazi Ab KahaN
Wo Turktaazi Ab KahaN !
Ab Ghaznavi Himmut Gai
Ab Babari Shaukat Gai
Lekin Mujhay Kiya Khabt Hei
Taqreer KiyooN Be'rabt Hei
Itna Sharaabi hO Gaya !
Aqal-o Khird Ko Kho Gaya
Mujh KO Zamanay Se Kiya Gharaz?
MiTnay MiTaanay Se Gharaz?
HindustaaN SE Kaam Kiya
Andaisha-e Islam Kiya
Jeenay Du Jeenay Du Mujhay
Peenay Du Peenay Du Mujhay
Jab Hashar Ka Din Aaye Ga
Uss Waqt Dekha Jaaye Ga
HaaN Naachti Ja Gaaye Ja
NazrooN Se Dil Barmaaye Ja
TaRpaaye Ja TaRpaaye Ja
Oo Dushman-e Duniya-o Deen!